Wednesday, February 6, 2008

taare zamin par

dekho inhein yeh hain oss ki boondein
patton ki god mein aasmaan se koodein

aangadayi lein phir karwat badal kar
nazuk se moti hans de phisal kar

kho na jaaye ye……..
taare zameen par

yeh to hain sardi mein dhoop ki kirane
utarein jo aangan ko sunhera sa karden

mann ke aandheron ko roshan sa kar dein
thithurti hatheli ki rangat badal dein

kho na jaaye ye……..
taare zameen par

jaise aankhon ki dibiya mein nindiya
aur nindiya mein meetha sa sapna

aur sapne mein mil jaaye farishta sa koi
jaise rangon bhari pichkari jaise titliyan phoolon ki kyari

jaise bina matlab ka pyara rishta ho koi
yeh to aasha ki lehar hain
yeh to ummeed ki sehar hain
khusiyon ki nehar hain

kho na jaaye ye……..
taare zameen par

dekho raaton ke seeney pe yeh toh
jhilmil kisi lau se ugey hain
yeh to amboya ki khusboo hain baagon se beh chale
jaise kaanch mein choodi ke tukde
jaise khiley khiley phoolon ke mukhdey
jaise bansi koi bajaye pedon ke taley

yeh to jhonke hain pawan ke hain yeh ghungharoo jeewan ke
yeh to sur hain chaman ke kho na jaaye ye taare zameen par

muhaley ki raunak galiyan hain jaise khilney ki zid par
khaliyan hain jaise muthi mein mausam ki jaise hawayein
yeh hain buzurgon ke dil ki duwayein

kho na jaaye ye………..
taare zameen par
taare zameen par

kabhi baatein jaise dadi nani kabhi chalkein jaise mum mum paani
kabhi ban jaaye bhole sawaalon ki jhadi
sannatey mein hansee ke jaise sooney hothon pe khushi ke jaise
yeh to noor hain barse gar teri kismat ho badi
jaise jheel mein lehraye chanda jaise bheed mein apne ka kandha
jaise manmauji nadiya jhaag udaye kuch kahe
jaise baithe meethi si jhapki jaise pyar ki dheemi si thapki
jaise kaanon mein sargam hardam bajti hi rahe
jaise barkha udati hai bundiya…

kho na jaaye ye….

No comments: